Mascota de musica.com

Kandhon Se Milte Hain

Lakshya

Al final de la letra 'Kandhon Se Milte Hain' podrás comentar sobre ella y acceder a más canciones de Lakshya.

LETRA

Kandhon Se Milte Hain

( kandhon se milte hain kandhe, qadmon se qadam milte hain
ham chalte hain jab aise to, dil dushman ke hilte hain )...(2)
( ab to hamein aage badhte hai rahna
ab to hamein saathi hai bas itna hi kahna )...(2)
ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlana
ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana
( kandhon se milte hain....dushman ke hilte hain ) -2
Nikle hain maidaan mein, ham jaan hatheli par lekar
ab dekho dam leinge, ham jaake apni manzil par
Khatron se hans ke khelna, itni to ham mein himmat hai
modhein kalayee maut ki, itni to ham mein taaqat hai
ham sarhadon ke vaaste, lohe ki ik deewaar hain
ham dushmanon ke vaaste, hoshiyaar hain taiyar hain
ab jo bhi ho..par hai chhaana
kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain
Josh dil mein jagate chalo, jeet ke geet gaate chalo...(2)
jeet ki jo tasveer banane ham nikle hain
apne lahoo se hamko usmein rang bharna hai
saathi maine apne dil mein ab ye thaan liya ha
i ya to ab karna hai, ya to ab marna hai
chahe angare barse, ke bijli gire
tu akela nahin hoga yaara mere
koi mushkil ho ya ho koi morcha
saath har mod par, honge saathi tere
ab jo bhi ho...par hai chhaana
kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain
Ek chehra aksar mujhe yaad aataa hai
is dil ko chupke chupke vo tadpata hai
jab ghar se koi bhi kat aaya hai
kaagaz ko maine bheega bheega paaya hai
palkon pe yaadon ke kuchh deep jaise jalte hain
kuchh sapne aise hain, jo saath saath chalte hain
koi sapna na toote, koi vaada na toote
tum chaho jise dil se, vo tumse na roothe
ab jo bhi ho, shola banke patthar hai pighlana
ab jo bhi ho, baadal banke parbat par hai chhaana
kandhon se milte hain ...dushman ke hilte hain
Chalta hai jo ye kaarvan, goonji si hain ye vaadiyan
hai ye zameen, goonji goonji
ye aasman, goonja goonja
hai ye hawa, goonji goonji
hai ye samaa, goonja goonja
har raste ne, har wadi ne, har parbat ne sadaa di
ham jeeteinge, ham jeeteinge, ham jeeteinge har baazi
( kandhon se milte hain...dushman ke hilte hain )...(5)

Más abajo podrás valorar y comentar la canción Kandhon Se Milte Hain.
disquito - musica.com

Puntuar 'Kandhon Se Milte Hain'

¿Qué te parece esta canción?

-
0 votos

Comentar Letra

Comenta o pregunta lo que desees sobre Lakshya o 'Kandhon Se Milte Hain'

Comentar

Compartir esta letra en...